Ehtiyate Wajib ka kya matlab hai?

Question: what is meant by ehtiyat e wajib?

Answer: Ehtiyate wajib yane wo hukum jo ehtiyat k mutabiq ho aur mujtahid ne is k sath fatwa na diya ho ayse masail me taqleed karne wala us mujtahid ki taqleed kar sakta hai jo aalam (yane wo mujtahid jo apne zamane k digar mujtahideen ki nisbat ahkam ilahe ko samajne ki behtar salahiyat rakhta ho) k baad ilm me sab se barh kar ho.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition,masla:2pg:#15, 486) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).