Hum Shia Mazhab Kyu Ikhtiyaar kare?

Question: ham sheia maslaq qu ikhtiar karin

Answer: Doctor tejani samawi jo sunni mazhab sai shia mazhab mai convert huay hain wo ye kehtay hain k jis baat sai mujhay aur bhi yaqeen ho gya k shia hi nijat panay walay wala firqa hai, wo ye hai k shia aqaid farakh dilana, aasan aur har hoosh mand aur ba-zauq shakhs k lie qabil e qabool hain shio k yaha har maslay aur har aqeeday ki munasibat aur itminan bakhs wazahat moujood hai jo ahl e bait a.s mai sai kisi na kisi sai mansoob hai jab k mumkin hai k aisi kafi o shafi wazahat ahl e sunnat aur doosray firqon k yaha na mil sakay. (Ref : Book hokum e azan pg 31)note : mazeed wazahat k lie is kitab ko parhain jo kisi bhi shia Islamic book store ya libray par aasani sai available hai. aur ye kitab English mai bhi tarjuma ho chuki hai. ya aap is link ko copy kar k address bar par paste karain. http://www.ziyaraat.net/books/HukmeAzaan.pdf (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).