Imam Husain(a.s.) tak humare salam w zyarat pohchane ki zimmedari kis ki?

Jawab-

Sheikh sadooq (a.r.)apni amali me likhte hai ki fitroos (farishta) ne aasman ki taraf jaane se qabl Huzoore Akram (s.a.w.a) ki khidmat me ye bhi arz kiya;

    Ay Allah ke Rasool (s)! Aap ki Ummat Aap ke Noore Nazar ko Shaheed kar degi. Albattah muj par Imam Husain (a.s) ne jo ehsaan kiya hai us ki bina par mai ye zimmedari leata hoo ke (mashrik wa magreeb me jaha bhi) koi shaks unki Ziyarat padhega / salam karega, mai us ki ziyarat wa salam Imam (a.s.) tak pohchaounga. Jo un ki khatir durood padhega mai uska durood Imam (a) tak pohchane ka farz ada karunga.

Image may contain: text

No comments