Chess khelna kaisa hai?

Question: Chess khailna haram hai ya halal agar haram hai toh q hai?
Answer: Chess (shitranj) khailna joay ki shart k sath bhi haram hay or baghair shart k bhi haram hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen,part#2, maslah #22 . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Note: Aksar akhkaam e sher,e ki sabab or illatain(reasons) or shriyat k bananay walay(yani khuda) ki nazar main qabil e aytebaar maslihat hum logo se poshida hay, or hamari aqlain on ko samajhnay se aajiz hain. Or wajib ye hay k illat or wajah per nazr kiay baghair wazeh hadees ki pairwi(following) karain.(Ref: Lumah#6,kitaab e meraas,nashir maktab e naveed e islam, pg#472). 
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

No comments