Ittehad ke naam par ye ikhtelaaf kaisa !

Ittehad ka matlab hota hai mil-jul kar rahna, bhaichara banaye rakhna. Lekin ye baat ajeeb si lagti hai jab koi apnaa hi gairo se ittehad ke mauzoo par apno me ikhtelaaf kare.


وَاعْتَصِمُوا بِحَبْلِ اللَّهِ جَمِيعًا وَلَا تَفَرَّقُوا

Aur tum sab ke sab (milkar) Khuda ki rassi majbooti se thaame raho aur aapas me (ek dusre) ke foot na daalo.. (Sura-e aale imran:103)

Ittehad har insan ke sath karna chahiye, chahe wo kisee bhi mazhab ka manne wala ho. Lekin ittehad ka matlab ye nahi ki hum unki tarah ibadat karne lage aur unko achcha lagane ke liye apne ahkam aur aqaed me tabdeeli laana shuru kar de, taake ke wo log khush ho aur hume achcha kahe.

Lekin ajkal kuchh afraad social media par aisee baate likhte hai ki jis se zahir hota hai ki wo dusre ko achcha lagane ke liye deen ka istemal kar rahe hai. Aur wohi log social media par nazaryaati ikhtelaaf ki bina par momeneen me ikhtelaaf shuru kar dete hai. 

Agar ittehad ke nare ka yehi matlab hai ki dusro ko khush karne ke liye apno ko bura bola jaye to fir aise ittehaad se kya fayda?

Kahi koi Aga Khamenai par La'nat karta hai To koi Aga Shirazi ko MI6 kahte firta hai! Ek Shia dusre shia par la'nat kaise kar sakta hai ya MI6 ka label kaise laga sakta hai? La'nat kahi palat kar khud par na aa jaye!

Aimmah (a.s.) ki ahadeeso se milta hai ki ek momin dusre momin ke sath achcha sulook kare chahe wo gunehgar hi kyu na ho. Aur hum log social media par chhoti chhoti baate ke liye kisee par laan taan karte hai ya MI6 aur Israel agent ka label chipka dete hai. Kya hum waqe'an ye sab Imam ki khushnudi ke liye kar rahe hai ya Imam ke dushmano ki khushnudi ke liye?

Ayatullah Sistani aur digar maraje hamesha ye khayal karte hai ki momeneen me ikhtelaaf na ho aur ise wajah se bhi wo kuchh mas'ael me hikmat se kam lete hai aur jaldi jawab nahi dete ya choop rahte hai. 

Afsos! ki unke isee rawaiye ko lekar ek namnihad aalim ne bhi unki tauheen ki thi (click here: Aga Jawad Naqvi ne Maraje' ke khamosh rehne par ki Tauheen!)

Allah (swt) humare inn maraje kiram ka saya qaem rakhe jo hume Imam Mahdi (a) ki gaibat me Ahkame Ilahi par amal karne me humari madad karte hai. (aameen)

No comments