Ahlebait a.ms.ki midhat karne walo ke khilaaf koi sazish to nahi

Hum aajkal social media me dekhte hai ki koi bhi jab Ahlebait a.s ki shaan me aisa qasida ya hadees bayan karta hai jo kisee shakhs ke dimag me nahi baith'ti jaise ki Ali a.s. Raazik hai, Rab hai, wajhullah hai, ainullah hai, lisaanullah wagaira tab wo use ghaali bol deta hai.
Ghaali ka matlab hota hai kisee ko apne mansab aur haisiyat se upar badha dena. 

Aaiye hum dekhte hai ki haqiqat kya hai? Kya ye koi dushmano ki sazish to nahi?

Pahle hum dekhte the mukhalefeen ya dusre firke ke log jab Maula Ali a.s ke fazael bardasht nahi kar paate the to wo aise alfaaz humare liye istemaal kiya karte the. Lekin aaj ye bimari khud humare maashre me fail gayee hai. Kya wajah hai akhir?

Pichhle kuchh saalo se kuchh aise anaasir paida huwe hai jo zyada midhate ahlebait a.ms. karne wale zakereen aur oloma ko pasand nahi karte aur unka kahna ye hai ki maashre me inqelaab laya jaye. Aur yehi log Marhoom Maulana Athar Sahab ke khilaaf the aur usi giroh ke ek shakhs ne kuchh saal pahle social media par maulana ki kisee american ambassador se mulakat ki photo ke sath ye caption diya ki "american agent". Aise afraad baar baar kisee na kisee zakir ya oloma jo unke humkhayaal nahi hai un ke khilaaf badzabaani kar rahe hai aajdin tak

Lekin wo log ye nahi samjate ki bagair mohabbat wa mawaddate ahlebait ke ye inqelaab ka koi aukhrawi fayeda nahi. Inqelaab zaruri hai aur isee liye hume Ahlebait ki Aakhri kadi Imam Mahdi a.s. ki aamad ke liye tayyar rahna hai. Aur unki mohabbat humare dil me shdeed honi chahiye. Isee falsafe ke sath hum ye kah sakte hai ki fazael aur manaqibe ahlebait a.ms. ka aam karna bahot zaruri hai taaki hum Ahlebait se jude rahe aur oon ki baato par kisee bhi gair masoom ki baat ko tarjeeh na di jaye.

Chale hum ye bhi dekhte hai (to be continued)

No comments