Nauha :- Wasiyat e Bibi Fatima Zehra (s)

Nauha :- Wasiyat e Bibi Fatima Zehra (s)
Recited by :- Mir hasan mir
Year :- 2019

Ayyame fatmiyah....

Alwida Fatema (3)
Haye Bad baba k guzri wo
Musibat sunlo
Ya ali fatema zehra ki
wasiyat sunlo
Aj ruksat ho rhi hai
Tumse zehra Ya Ali(3)
Parda e shab me meri mayyat uthana Ya Ali
Aaj ruksat........
Pasliya todi gai kaise ye batlaungi mai
Hashr ke maidan me bhi is haal me aaungi mai
Hath pehlu se na tum mera hatana Ya Ali
Aaj ruksat.....
Wo musibt aapne achcha hua dekhi nahi
Ab mai sidhe hath se tasbih pdh sakti nahi
Esa kunfuz ne hai mara taziyana Ya Ali
Aaj rukst....
Haye....
Kehti hai zainab ye mujhse dekhkar chehra mera
Aapke ruksar pr ye nil hai kaisa pada
Are
Maine khaya hai tamacha, Mt batana ya ali
Aaj ruksat.....
Taziyane ki aziyyt ka uthana ek taraf
Wo tamache ,katle mohsin, dar jalana ek taraf
Sabse mushkil tha magar darbar jana ya ali
Aaj ruksat.....
Jab meri talkin pdhna yad kar lena zara
Dar k girne se mera bazu bhi hai tuta hua
Mere shano ko zara dhire hilana ya ali
Aaj ruksat.....
Haye.....
Chahe aajaye qayamat mujse ye wada kro
Jab talak maula mere shabbir ki marzi na ho
Are
Tab talaq mera janaza mat uthana ya ali.....
Aaj ruksat.....
Jab se aayi hu palat kr fikr hai mujko yhi
Me to prde me gai fir bhi zaifa ho gayi
Berida darbar hai zainab ko jana ya ali....
Aaj ruksat......
Karbala me jab mere mazlum pr khnjr chle
Pyas k aalam me wo gazi ko jab aawaz de
Me bhi aaungi waha pr tum bhi aana ya ali.....
Aaj ruksat.....
Haye...
Hath pehlu pr rkhe boli takallum fatema
Me dua krti hu tum aamin keh dena zara
Jald aaye mere mehdi ka zamana ya ali.....
Ya ali..............
Aaj ruksat.......

No comments