Ghunah e Kabira kon kon sy hen?

 Question: Salam agha sahab ghunah e kabira kon kon sy hen in sy mutaliq koi book h to btyn r kon kon sy ghunahasy hen jin ka kaffara ada krna wajib hota h jazakAllah

Answer: Ghunahan e Kabira men se hai 1) Allah k sath shirk karna, 2) Khuda ki rehmat se mayoos hona, 3) Khuda ki tadbeer se apne aap ko amaan me samajhna, 4) Un cheason ka inkaar karna jo allah ne nazil ki hain, 5) Khuda k waliyon se jang karna, 6) Ghunah ko halqa samajhna, 7) Aaq e waldain (yani waldain ko aziyat dena), 8) Musalman aur har nafas e muhtarama ko Qatal karna, isi tarah inhen zakmi karna, marna, aur dosere kaam karna, 9) Pak daman mard , aurat per sharaei gawahon k baghair zina aur dosere fahash kaamon ki tuhmat laghana, 10) Zulman yateem ka maal khana, 11) Naap tol me kami karna, 12) Chori karna, 13) Jang se farar karna, 14) Sood khana, 15) Zina karna, 16) Mard ka mard k sath bad faili karna, 17) Aurat ka aurat k sath bad faili karna, 18) Istimna karna, 19) Mian biwi k ilawa kisi bhi zariye se jinse lazat hasil karna, 20) Do logon ko haram jinsi talukat k lye milana, 21) Shohar k lye haram hai k us ki biwi kise dosere mard k sath haram talukat rakhe aur wo khamosh rahe, 22) baghair ilm aur hujjat k baat karna, 23) Jhoot bolna, 24) Jhooti ghawahi dena, 25) Jo cheez allah ne nazil nahin ki us k bare me fatwa dena, 26) Allah ki jhooti qasam khana faislon k maqaam per, 27) Ghawahi ko chupana, 28) Jan bojh kar namaz ko chor dena 29) Ramzan k roze ko chor dena, 30) Wo hajj jo zindagi me aik martaba wajib hota hai us ko chor dena, 31) Wajib zakat se mana karna, 32) Qat e rehmi karna, 33) Aisi jagh jana jahan deen ko nuqsaan puhnche, 34) Sharab aur doseri nasha aawar cheasen pina, 36) Khinzeer aur dosere haram gosht jaanwar ka gosht khana, 39) Haram kamaai khana, 40) Israaf karna, 41) Tabzeer karna, 42) Maali huqooq ko baghair kisi wajah k rok kar rakhna, 43) Zalimon ki madad karna, 44) Zalimon ka rukun banna, 45) Zalimon ki mansab ko qabool karna magar ye k ye mansab halal ho sakta hai agar ye kaam khud halal ho aur is me musalmanon k liye maslehat ho, 46) Momin ki gibat karna, 47) Momin ko gaali dena, 48) Momin ko lanat karna, 49) Momin ki touheen karna, 50) Momin ko zaleel karna, 51) Momin ka mazaq urana, 52) Momin ko darana, 53) Momin k raazon ko dondhna, 54) Momin k ghunahon ko zahir karna, 55) Momin ko halqa samajhna, 56) Momin per jhoot bandhna, 57) Momeneen k darmiyaan chugli karna, 58) Monh se gandi aur fahash batain karna, 59) Dhoka dena, 60) Khayanat karna, 61) Ahad ko torna, 62) Apne aap ko dosron se bara zahir karna, 63) Ibadat me riyakari karna, 64) Hasad ka izhar karna, 65) Haram mouseeqi ka istemaal, 66) Jadoo karna, 67) Jadoo seekhna, 68) Jadoo sikhana, 69) Jowa k alaat, 70) Shatrang khelna.
tuba ki haqiqat gunah se pashemaan hona hai is lie kha gaya hai ke pashemaani he haqiqi tuba hai or haqiqi pashemaani ye hai ke insaan hamesha ke lie gunah choorne ka mustehkam irada kare , agar is ka gunah haqqullah hai tu allah ki baarga me maqfirat talab kare , agar is amal ki qaza ye kaffara ho tu wo ada kare or agar haqqqunnaas hai ( masalan kise ka maal lia ho) tu ise raazi kare or agar aisa karne se is ki tuheen hote hai hadiye se ise desakta hai ya phir is ke account me (maal jo is ka lia tha) beaje de tuba faqat astaqferullaha khene se nahe hote balke mustehkam irada ho ho kr gunah se dori kare .
(Ref: Minhajus Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition 2009, Maslah #30, sistani.org,urdu, topic, tuba,sawaal no:2)
[Updated on 12-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

http://qoitrat.org/Qa/searchtopic.php?Main=106

No comments