Imam Mahdi (a.s.) kaun hai? Wo abhi kaha hai? Wo zahir kab honge? + Quiz I
Bismillahir rahmanir raheem,
Imam Mahdi (a.s.) ke talluk se hum kuchh aaam sawalo ke jawabat ka zikr karenge.
Imam Mahdi (a.s.) kaun hai?
Imam Mahdi (a.s), Allah ke numa'indey hai jinka zikr Huzoor (s.a..w.a) ne kiya hai. Aap Huzoor (s.a.w.a) ke nawase, Imam Husain (a.s.) ki aulaad me se 9'we farzand hai aur Muslamano ke 12'we Imam hai. Aap ke bareme ka'ee kitabo aur Qur'an me zikr huwa hai.
Naam - Mim-ha-mim-dal
Laqab- Mahdi, Muntazar, Qaem, Muntazir, Baqiyatullah
Kunniyat- Abul Qasim
Wiladat - 15 Shaban, 255 Hijri
Maqame Wiladat- Samarrah, Iraq
Walid - Imam Hasan Askari (a.s.)
Waleda- Narjis khatoom (s.a.)
Zuhoor- Allaho a'alam (Allah Bahtar janta hai)
Imam Mahdi (a.s.), apne walid Imam Hasan askari (a.s.) ki shahadat ke baa'd, Allah ke huqm se logo ki nigaaho se aujal ho gaye the ya'ni gaibat me chale gaye the. Iss gaibat ko gaibate sugra kahte hai.
Iss gaibat ke dauraan, aap ke 4 khas numaindey they jo deen ke ma'melaat me musalmo ki hidayat karte the aur Imam Mahdi (a.s.) ki khidmat me logo ke sawal pesh karte the. Oon 4 numaindo ke naam iss tarah hai (naibe khas);
1. Abu Muhammad Uthman ibn Sa'id al-Asadi (Arabic: أَبُو مُحَمَّد عُثْمَان ٱبْن سَعِيد ٱلْأَسَدِيّ )
2. Abu Jafar Muhammad ibn Uthman al-Asadi (Arabic: أَبُو جَعْفَر مُحَمَّد ٱبْن عُثْمَان ٱلْأَسَدِيّ)
3. Abu al-Qasim al-Husayn ibn Ruh al-Nawbakhti (Arabic: أَبُو ٱلْقَاسِم ٱلْحُسَيْن ٱبْن رُوح ٱلنَّوْبَخْتِيّ)
4. Abu al-Hasan Ali ibn Muhammad al-Samarri (Arabic: أَبُو ٱلْحَسَن عَلِيّ ٱبْن مُحَمَّد ٱلسَّمَّرِيّ)
Ye silsila 329 Hijri tak chala.
Imam Mahdi (a.s.) abhi kaha hai?
Hijri 329 se le kar aaj tak ke daur ko Gaibate Kubra kaha jata hai. Iss tulaani gaibat me Imam Mahdi (a.s.) ka koi khas numainda nahi hai. Iss daur me Imam Mahdi (a.s.) logo ke darmiyan hai lekin logo ki aakho se door hai. Yani wo jinhe chahe apna deedar kara sakte hai aur aisey kai'ee waq'aat kitabo me paaye jate hai. Imam Mahdi (a.s.) logo ki madad bhi karte hai. Isee liye kaha jata hai ki, jab bhi aap ko koi mushkeel pesh aaye aap 'Ya aba saleh al mahdi adrikni" padhe aur inn alfaaz ke saath Imam Mahdi (a.s.) ko madad ke liye pukare, wo aap ki zaroor madad farmayenge.
Imam Mahdi (a.s.) kab zahoor karenge?
Ye ilm sirf Allah (s.w.t.) ke paas hai...
Allahumma ajjil le waliyyekal faraj.
QUIZ ke sahi jawab dijiye... (niche)
Loading...

Post a Comment