Imam Mahdi (a.s.) ke talluk se Ashaar
Chalo bazme sukhan mein chalte hai,
Chalo noor ki anjuman mein chalte hai,
aur khatm karke tilawate quran,
madhe ahlebait mein chalte hai.
fiza mehekti hai, to koi gulaab bhi hoga
andhera hai, to koi aftaab bhi hoga,
daleel-e-hujjat-e-qaem hai khud,
zameen ka wajood turaab hai to kahin, bu turaab bhi hoga.
kis tarha karta hai quran ki tilawat quran
parda-e-ghaib jo hat jaaye to yeh manzar dekhu
sochta hun areeze ka takalluf kaisa
khud is baar mein dariya mein utar kar dekhu
parda rukhe raushan se hatana bhi qayaamat hai
deewano ko jalwa naa dikhana bhi qayaamat hai
jab tak na woh aayenge, naa aayegi qayaamat
aanaa bhi qayaamat hai, naa aana bhi qayaamat.
Post a Comment