Ghar par Wiladate Imam Zaman (a.s.) Kaise manaye? (Interesting Ideas)*

Wiladate E Imam Zamana (a.t.f.s) Mubarak!

Aaiye iss ba barkat mauke par hum sab milkar humare zamane ke imam ki wiladat ka jashn manaye jinko yaad karna hum par lazim hai aur jinke zuhoor ki Dua karna behtareen amal karar diya gaya hai.


Hum kis tarah ye khushi mana sakte hai? 


  1. Ghusl kare
  2. Aa'mal kare
  3. Imam E Zamana (a) se tawassul kare, hajat talab kare
  4. Areeza likh kar Imam ko yaad kare.
  5. Ziyaraat aur Dua'e pad'he
  6. Istegh'far (tauba) kare 
  7. Aise kaam na kare jis se Humara Imam(a) naaraz ho
  8. Apne ghar walo ko khush kare
  9. Apne ghar me achchi giza (recipes) banaye
  10. Dosto aur rishtedaro ko phone ya message ke zariye mubarakbad pesh kare
  11. Apne padosi aur rishtedaaro ka khayal kare
  12. Bach'cho ko kuchh de kar khush kare aur Imam (a) k bare me bataye
  13. Iss mauqe par Quiz / Competitions me bachcho ko hissa lene k liye utsaahit (encourage) kare.
  14. Dosto aur rishtedaaro k sath milke Zoom, GotoMetting, WhatsApp video calls se jashn LIVE kare
  15. Apna ghar sajaye.
Aap hume Imam (a.s.) ke talluk se liya gaya koi bhi short video ya picture send kar sakte hai. Hum isey apni website www.mahdiyouths.com ya social media par upload kar ke mo'meneen tak poh'chayenge.


Short video ya image send karne k liye;





Al ajal Al ajal Ya Mualai Ya Sahebuz Zaman (a)!

Note- Aap niche comment box me apna comments add kar ke hume message kar sakte hai.





No comments