Numainda-e Ayatullah Sistani ka Arbaeen ke liye khaas paigaam
Harame Imam Husain (a.s.) me Ayatullah Sistani ke Numaindey Shaikh Abdul Mehdi karbalayee ke Iss hafte Namaze Juma' ke khutbe me' se Arbaeen se mutallik chand baate;
- Hum lakho za'ereen e Imam Husain (a.s.) jo chal kar Sayyedush shohoda (a.s.) ki ziyarat ke liye aa rahe hai unhe khush-aamdeed kahte hai.
- Zaereen jo bahot sari sakhtiya sah kar aa rahe hai lehaza unhe iss baat ki janib bhi mutawajjeh karta hoo ki woh Ahdafe ziyarat Imam Husain(a) par khusoosi tawajjoh de.
- Unhone mazeed kaha ki Ziyarat ka Maqsad WILAYAT, Itaa'at, madad, jaanfeshani aur nuhzate Imam Husain (a.s.) ko aage badhaane par tajdeede ahad hai. lehaza ye ziyarat ikhtelafat ki bunyado'n par nafs ki tarbeeyat ka bahtareen mauqa hai ke jiski jaanib Sayyedush shohoda (a.s.) ne bhi taakid ki hai.
- Marqade Imam Husain (a.s.) par paak aur muqaddas arwaah maujood hai lehaza zaereen apni tarbeeyat ke sath sath apni galtiyaa'n ki tauba kare'n taaki oon ki roohe bhi oon paak arwaah ka hissa ban sake.
- Zaereen, matami daste aur mauqib ke zimmedaraan ikhlaas ka muzahera karte huwe har qism ki riyakari se parhez kare.
- Imam Husain (a.s.) ka hakiki zaer wo hai jo apne guftaar aur kirdaar ko nashaaista aamal se door rakhe, chugali, geebat se parhez kare, Zaereen NAMAZ e Panchgaana jaise wajibaat ki adaegi par khusoosi tawajjoh kare.
- Oonhone Khawateen ko NA-MAHRAM mardo ki safau me shamil hone se parhez, haya aur iffat aur akhlaaqe islami ki muraat ki taqeed ki.
Source- http://ur.rasanews.ir/detail/news/431660/1
Post a Comment