Imam Hasan Askari (a.s.) ne wasiyyat me ye bhi farmaya...

(Mere shiyo'n) Allah se darte raho, humare waste zeenat bano, ba'ase aaib na bano, humari taraf logo ki mawaddato ko khinch ker le aao aur hum se har buraai ko dur rakho. humare baare me jo bhi achchi baat kahi jaye, hum uske ahel honge aur jo buri baat kahi jaye, humara usse koi taalluk nahi. Humara kitaabe khuda me ek haq aur Rasule Khuda (s.a.w.) se ek qarabat hai. Hum sahibaane tatheer hai, humare alawa jo is ka daawa kare wo jutha hoga.

Allah ka zikr zyada  karo, maut ko barabar yaad rakho, tilawate Quran karte raho, durrod padhte raho kyu'ke durud 10 nekiyo ke barabar shumar hota hai. Meri wasiyyat ko yaad rakhna. mai tumhai khuda ke supurd karta hoo.

(Ref: tohful uqul s-487)

No comments