Khutba'e Fadak se iqtibas

Jaaho mansab ke bhookey


"Aur tum log un (Ameerul Momineen Ali a.s.) unki raahat rasaaniyon ke sabab aysho aaram mein they aur amno amaan ke gahwarey mein itminaan sey letey rahtey they aur ham logon ke masayeb wa aalaam mein mubtila honey ka intezar kartey they aur hamarey baarey mein buri khabar sunney ke mushtaq rahtey they aur jab koi jang chhir jaati thi to tum pahloo tahi kar letey they aur maidaane karzaar sey bhaag jaatey they. Phhir Khuda ne apney Rasool (sawaw) ke liye Anbiyaa' (as) ka ghar aur apney muntakhab bandon ki aaraamgaah ko pasand farmaya to unkey baad tumharey seeney mein chhupey huey kufro nifaaq ke kaantey zaahir huey aur tumharey ooper deene Khuda ka jo libas tha woh taar taar hogaya.
Phhir kya tha un gumraah logon ko bhi bolna aagaya jo khamosh aur dahan basta they. Ghatiya aur past afrad mu'azzaz ban gaye aur baatil paraston key oont bilbilaney lagey aur tumharey darmiyaan apni jasto khez dikhaney lagey.

Aur shaytaan ne apni kamee'n gaah se sar nikaala aur tumhen aawaz di aur jab usney ye dekha ki tum sab uski aawaz per labbaik kahtet huey daur padey aur fareb khaney ke liye tayyar ho gaye ho, usney haq ke muqabley mein aaney ka irada karliya chunanchey jab usney is kaam ke liye tumhen tayyar paaya to usney tumhen josh dilaya aur jab tum josho ghayz mein aapey sey baahar hogaye to doosron ke oonton per tum apni milkiyat key nishaan laganey lagey aur paraaye ghaat per utar gaye, halaanki tumney jo (ghadeer mein bai'at wa) ahd kiya tha jis per abhi zyada waqt nahin guzra tha, abhi zakhm hara tha aur uska munh khula hua tha abhi mundamil nahin hua tha.

Tumhen jo kuchh karna tha woh tumney Rasool (sawaw) ko dafn karney sey pahley hi karliya aur ye bahaana bana liya ki ham fitney sey dartey hain halanki tum khud hi is fitney ki aag mein kood padey, beshak jahannam kaafiron ka ahaata kiye huey hai? Tum kahan? Aur fitney ki aag bujhana kahaan, ye to tumhari baate'n hi baate'n hain.

Ref:

معانى الاخبار، ص ٣٥٤/ كشف الغمه، ج٢، ص٤٠/ بحار الانوار، ج٤٣، ص ١٥٨


No comments