Haakim ne Hazrate Zahara (s.a. ) ko Fadak kyun nahi diya?

Ibn Abil Hadid Mo'tazaly (Gair-Shia Aalim) ne apni kitaab 'Sharh Nahjul Balagah' mein ye waqiya naql kiya hai ke unhone apne ustaad se puchha, "Kya Fatima (sa) Fadak ki milkiyyat ke daawe mein sachchi thi?" 

Ustaad ne kaha, "Haa'n".

Sawaal huwa, "Jo wo  sachchi thi to Haakim ne unhe Fadak kyun nahi diya?" 

Ustaad muskuraye aur khubsoorat, lateef aur mazak ke lehje mein kaha - haala'nki unhe mazaaq ki aadat nahi thi - "Agar oos waqt Haakim J. Fatima (sa) ka daawa sunkar unhe Fadak de deta to doosre din wo aa kar apne Shauhar ke liye Khilafat ka daawa pesh karti! Wo Haakim ko unke ohde (position) se alag kar deti aur Haakim ke paas khud ke difaa (bachaav) ke liye koi jawaaz (daleel / justification) na hota, kyun ki Fadak dekar wo ye qubool kar leta ke jo kuchh Fatima (sa) daawa kar rahi hai wo sach aur haqeeqat hai aur unhe kisi suboot ya gawaah ki zarurat nahi". 

Ibn Abil Hadid likhte hain ke jo kuchh mere ustaad ne kaha wo sach hai agar-che unhone usay mazaaq ke lehje mein kaha hai.

(Hazrat Zahra (s.a.) And the Heart, Rending Episode of Fadak)

No comments