Imam Ali (a.s.) Ki Shaan me chand Ash'aar

Itrat(a s)se muhabbat bhool gaye..
Wo ajr-e Risalat (saww) bhool gaye..
Bus ghaar-e Hira ek yaad raha..
Aur Bister-e Hijrat bhool gaye..
kab Maal-e Ganimat bhool sakey..
Haider ki Enaayat bhool gaye…
Kaabe ki fazilat yaad rahi..
Haider ki walidat bhool gaye…
Gairo'n ko Nabi (sawas) ka Ravi kaha
Haider se riwayat bhool gaye.
Mann kunt-o Moula sun to liya
per hukam e Risalat (sawas) bhool gaye..

Jo Nara’e HAiDERi Ko Gawara Nahi Kartay 
HUM Un Se TaLuq Ko Sanwara Nahi Kartay
HUM Detay Hy MOLA Teri Azmat Ko SaLami
Murday Hy Wo Jo Tuj Ko Pukara Nhi Kartay 

Parda hata ke Bab e karam dekhta raha .
Naqshey pa ye Didar e Haram dekhta raha .
Haji Gilaf e Kaba ka kartey rahey tawaf .
May Ali (a.s) ke Naqshey Qadam dekhta raha .

ALI (a.s ) ke Dar ko Bab e Shifaat kehte hai.
ALI (a.s) ki rah ko Rahey Najat kehtey hai .
Ali (a.s) ka chahney wala marr kar bhi nahi marta .
Ali ( a.s) ke Ishq ko Aab e Hayat kehtey hai .

kam zarf kon kon hy halali hy kon kon
munkir hy kon kon mowaliy hy kon kon
aur mola ali ke nam ka nara laga ke dhek
cherey bataey ge ke halali hy kon kon

Fikro Nazar Ko Koi Saleeka Nahi Mila,
Jab Tak Dare ALi Se Aqeeda Nahi Mila,
Kafir Bata Rahe Hai Woh Haider Ke Baap Ko,
Khud Jinko Apne Baap Ka Shajra Nahi Mila

ya ali tera haseen nam bhla lagta hai
tere nisbat mai mjhe islam bhla lagta hai
tere ishq ma log mjhe kafir krhtr hain
khuda ki qasam tere liye yeh ilzam bhla lagta hai

Qissa Khaiber Ka Sunaya To Bura Maan Gaye…
Aaiena Unn Ko Dikhaya To Bura Maan Gaye..
Dar e Zahra Ko Madinay Main Jalaya KisNe..?
Hm Ne Jab Naam Bataye To Bura Maan Gaye..
Tazkera Unn Ki Sakhawat Ka Wo Krtay Thay…
Jab Fidaq Yaad Dilaya To Bura Maan Gaye
Waqt Parrne Pe Wo Krtey Rahey Haider Haider…
Haq Ne Jab Mola Banaya To Bura Maan Gaye..
Hum Jab Rotay Hain To Biddat Ki Sanad Milti Hai…
Qissa e Ghaar Sunaya To Bura Maan Gaye..



Haq Ki Baaton Se Hain Anjan Baray Bholay Hain
Meri Basti K Musalman Baray Bholay Hain
Ae Khadeeja (S.A) Teray Tukron Pe Yeh Palnay Walay

Bhool Baithay Teray Ehsan Baray Bholay Hain
Hain Tabaray Se Pareshan Baray Bholay Hain
Lanatein Kyun Na Hon Qurban Baray Bholay Hain
Bughz e Haider (A.S) Mein Sooye Naar Chalay Jatay Hain
Haye Becharay Musalman Baray Bholay Hain
Roz Parhtay Hain Magar Ghor Nahi Kar Patay
Aaj K Hafiz e Quran Baray Bholay Hain
Ghar Se Niklay Thay Khareedar Yeh Jannat K Liye
Baich K Aa Gaye Imaan Baray Bholay Hain
Ghar Mein Khaliq K Saqifa K Khaleefa Ki Tarha
Yeh Tarashay Huway Bhagwan Baray Bholay Hai

2 comments

Unknown said...

Koi nii Ali(a.s) jiya koi nii jaisa mera maula waisa koi nii....
Ya Ali
Ya Ali
Ya ALi...
Masha allah bht accha .....

Unknown said...

रखते ही बुग्ज वही हैदरे कर्रार से मारे गए हे जिनके बाप जुल्फिकार से