Laylatul raghaeb kya hai?

Hazrat Rasule Khuda (s.a.w.a.) ne farmaya, mahe Rajab ki pahli shabe Jum'a se gaflat na barto'; kyu ke yeh aisee raat hai jisko farishte laylatul raghaeb kehte hai. ye naam iss liye iss raat par rakha gaya hai ke jab iss raat ka thoda sa hissa guzar jae, aasmana aur zameen par aisa koi bhi farishta baaki nahi rehta magar yeh ki wo kaaba aur uske atraaf me ikaththe ho jate hai. 

uske baa'd khuda wande mut'al irshaad farmata hai,
Ay mere farishto' jo bhi chahte ho muj se mango. 

Farishte arz karte hai; humarai hajat ye hai ki Tu Rajab me roze rakhne wale afraad ke gunaho' se darguzar farma. 

Aur Allah Farmata hai; maine aisa hi kiya.

(Al muraqabat- Ayatullah Mirza jawad maliki tabrezi)


No comments