Imam Zamana (a.s.) ke baare me Ahadees

1. Imam Mahdi (atfs):
Merey jald zahoor ki du'a kiya karo kyouki mera zahoor hi tumhaari najaat ka zariya hai.
(Aqwaal e Masoomeen (a.s.), P118)

2. Rasule Khuda (saww):
Khush-naseeb hai wo shakhs jisne mere Ahlebait (as) ke Qaem (atfs) ko dekha aur unke qayaam se pehle unki iqteda ki, unhe Imam tasleem kiya aur unse pehle Aimma e Huda (as) ko Imam maana aur unke dushmano'n se bezaari ki. Wohi mere rafeeq aur meri nazar mein meri Ummat mein sabse zyada moazziz (honorable /aadarniya) hai.
(Jamaal e Muntazar, p801)

3. Rasule Khuda (saww):
Khush Kismat hai woh log ko meray Ahle Bayt (a.s) se Qaim (atfs) kay zamanaey ko paayengey aur unn kay qayaam se pehley woh log un ki iqteda aur pairavi kartey hoongey aur un kay doston se mohabbat rakhtey hongey un kay dushmano se dushmani rakhtey hongay aur unn se qabl jitney Imāmul Huda (a.s.) guzar chukey hain unn sab se wilayat rakhtey hongey, wahi log to meray rufaqaa hai un hi sey meri muwaddat hai aur meri mohabbat bhi unhi kay waastey hai aur meri ummat se wahi loh meray paas mukarram  aur izzat daar hai.
(Bihaar v25, P921, Ghaybat e toosi)

4. Imam Sadiq (as):
..'Hudal Lil Muttaqeen al Lazina Yuminoona Bil Gaib' (Surah Baqarah, Ayat 3) ki wazaahat ki ke muttaqi H. Ali (as) ke Shia hain aur Gaib Hujjat e Khuda (atfs) hai jo Gaayab hain.
(Irshadaat e Masumeen (as), p46)

5. Imam Ali ibn Ḥusayn (as):
Yakinan logo me sabse behtarin vo hai jo gaibat k zamane me Imam Mahdi (atfs) ki Imamat ko mane aur onka intezar kare.
(Kamaluddin, P31, V2)

6. Imam Sadiq (as):
Agar duniya mein 2 afraad (persons) hi baaqi reh jaayein to unme se ek Imam (as) hoga.
(Basaair ud Darajaat, v2, p508)

7. Imam Sadiq (as):
Agar duniya mein 2 afraad (persons) hi baaqi reh jaayein to unme se ek doosre par hujjat hoga.
(Basaair ud Darajaat, v2, p509)


8. Imam Sadiq (as):

Agar duniya mein 2 afraad (persons) hi baaqi reh jaayein to unme se ek Hujjat hoga aur agar oon dono mein se ek chala jaaye to Hujjat e Khuda phir bhi zameen par oos ek ki soorat mein baaqi rahega.
(Basaair ud Darajaat, v2, p509)


9. Imam Sadiq (as)

Zameen par Imam ka hona zaruri hai jo Halaal o Haraam aur oon tamaam umoor (affairs) ka aalim ho jinke log mohtaaj hai.
(Kamaluddin, v1, p248)


10. Imam Sadiq (as)

Agar zameen baghair Imam ke Ek lamha rahe to bila shubah dha'ns jaaye.
(Kamaluddin, v1, p227)


11. Abu Hamza Sumaali ne Imam Sadiq (as) se pucha ke kya zameen baghair Imam ke reh sakti hai ?

Aap(as) ne farmaya : Agar baghair Imam ke baaqi rahi bhi to Pani me dha'ns jaayegi.
(Elul al Sharaaye, Pg.150(16)


12. Imam Reza (as)

se sawaal huwa ke kya zameen Hujjat e Khuda ke baghair reh sakti hai? To aap ne farmaya, “Agar ye (zameen) Hujjat e Khuda se palak jhapakne ki muddat mein bhi khaali rahe to apne ahel sameyt tabaah ho jaayegi”.
(Basaair ud Darajaat, v2, p513)


13. Imam Baqir (as):

Agar Imam duniya se uthh jaaye to zameen apne ahel ke saath garq ho jayegi jis tarah mauj e darya apne ahel ko garq kar deti hai.
(Kamaluddin, v1, p229)


14. Imam Sadiq (as):

Hujjat khalq se pehle, khalq ke saath aur khalq ke baad bhi rahegi.
(Kamaluddin, v1, p256)


15. Imam Sadiq (as):

Beshak Allah Ta'ala is se Jaleel-tar aur Azeem-tar hai ke wo zameen ko Imam e Aadil ke baghair chhor de.
(Kamaluddin, v1, p257)


16. Imam Sadiq (as):

Iblees ko mohlat oos din tak di gayi hai jis din Qaem e Aal e Muhammad (atfs) zaahir honge.
(Irshadaat e Masumeen (as), p75)


17. Imam Baqir (as):

Allah ne oos waqt se ke jab se Adam (as) ko khalq kiya, zameen ko Hujjatullah (Allah ki Hujjat) ke baghair nahi chhora aur zameen Hujjatullah ke baghair baaqi nahi reh sakti.
(Basaair ud Darajaat, v2, p503)


18. Imam Baqir (as):

Jab se Allah ne J. Adam (as) ko khalq farmaya hai ye zameen Hujjat e Khuda se kabhi khaali nahi rahi. Ya to wo Hujjat zaahir aur mash'hoor hoti hai ya gaayab aur poshida hoti hai.
(Meezan ul Hikmah, v1, p266)


19. Imam e Zamana (atfs):

Jo shakhs Masjid e Jamkaraan mein Namaz padhe to uska sawaab Makkah mein Namaz padhne ke barabar hai.
(Aasmani Nasihatein, v2, p216)


20. Imam e Zamana (atfs):

Zahoor e Imam e Zamana (atfs) ka waqt muayyan (determine) karne waale jhoote hain.
(Guftaar e Dil Nasheen, p253)


21. Rasule Khuda (saww):

Mere baad 12 Aimma (as) honge jinme pehla fard Ali ibne Abi Taalib (as) hain aur aakhri Qaim (atfs) hain. Ye hi mere Khulafa, mere Awsiya, mere Awliya hain, meri Ummat par mere baad Allah ki Hujjat hain. Unka iqraar karne wala Momin aur unka inkaar karne wala kaafir hai.
(Kamaluddin, v1, p279)


22. Rasule Khuda (saww):

Mere baad 12 Aimma (as) honge unme awwal Aye Ali (as) tum hoge aur aakhir Qaim (atfs) hai, jiske haatho'n par Allah mashriq se maghreeb (east to west) tak ki fatah (victory) ataa karega.
(Kamaluddin, v1, p301)


23. Imam Baqir (as):

Koi banda Momin nahi ho sakta jab tak Allah, uske Rasul (saww) aur tamaam Aimma (as) ko na pehchaane aur apne Imam e Zamana (as) ko bhi aur apne muamelaat unki taraf ruju kare aur apne ko unke supurd kare." Phir farmaya, "Jo Awwal se jaahil hai wo Aakhir ko kya pehchane ga.
(Al Kaafi, v2, p30)


24. Imam Baqir (as):

Koi Shaqs uss waqt tak momin nahi ho sakta jab tak woh Khuda , Uss kay Rasool (sawa), tamam Aimmah (as)‎ ki aur apney waqt kay Imām ki Marefat o shanakhat na ha rakhta ho, aur sarey umoor mein un ki taraf rujoo karey aur unn kay hukm kay samney poori tarah tasleem rahey.
(Al Kafi, V1, P 180, H 2)


25. Imam Sadiq (as):

Alllah aur Uski makhlooq ke darmiyaan Imam rabeta hota hai. Pus, jisne usko pehchana wo Momin hai aur jisne uska inkaar kiya wo Kaafir hai.
(Falsafa e Gaibat e Mahdi (atfs), p206)


26. Imam Sadiq (as):

Jisne mere Abaa e karaam aur meri aulaad mein tamaam Aimma (as) ka iqraar kiya aur mere farzand Mahdi (atfs) ka inkaar kiya wo aisa hai jaise usne tamaam Ambiya (as) ka iqraar kiya aur H. Muhammad (saww) ka inkaar kiya.
(Kamaluddin, v2, p401)


27. Rasule Khuda (saww):

Jisne meri aulaad mein se Qaim (atfs) ka inkaar kiya (goya) usne mera inkaar kiya.
(Kamaluddin, v2, p402)


28. Imam Sadiq (as):

Har ummat ka hisaab uska Imam e Zamana karega aur Aimma (as) apne dosto'n aur dushmano'n ko unki alaamat (nishaani) se pehchanenge jaisa ke Allah Ta'ala ne Surah Aaraf, Surah 7, Ayah 46 mein farmaya hai, "Aaraf par kuchh log honge jo har ek ko uski alaamat se pehchanenge". Lihaaza, Aimma (as) apne dosto'n ko unka naama e aamaal daayein (right) haath mein denge aur wo kisi hisaab ke bagair Jannat mein chale jaayenge aur Aimma (as) apne dushmano'n ko apne naama e aamaal baayein (left) haath mein denge aur unhein bhi kisi hisaab ke bagair Jahannum mein bhej diya jayega.
(Tafseer Noor us Saqlain, v3, p376)


29. Imam Sadiq (as)

se puchha gaya, "Kya (ek waqt mein) 2 Imam ho sakte hain?" Aap ne jawaab diya, "Nahi. Magar ye ke unme se ek khamosh rahe (ailaan e Imamat na kare)".
(Kamaluddin, v1, p257)


30. Riwayat:

Muhammad bin Usman Amri (ra) ne kaha ke hum 40 afraad ek saath Imam Hasan Askari (as) ki khidmat mein haazir huwe. Imam (as) ne apna farzand humein dikhaya aur farmaya, "Ye mere baad tumhara Imam aur tum logo'n par mera Khalifa hai. Iski ita'at karo aur mere baad Deen mein tafreqa na daalna varna halaak ho jaoge. Aaj ke baad tum isko na dekhoge". Oon logo'n ka kehna hai ke oos mulaqaat ke chand deeno'n ke baad Imam Hasan Askari (as) ka inteqaal ho gaya.
(Kamaluddin, v2, p422)


31. Imam Askari (as):

Mere baad mera beta Qaim hoga jiski taweel umr aur ghaibat ke zariye Sunan e Ambiya (as) (practice of the Prophets (as)) jaari hongi. Uski ghaibat itni taweel hogi ke logo'n ke dil sakht ho jayenge aur koi Deen par saabit qadam (steadfast) na rahega siwaaye unke jinke quloob (hearts) par Allah ne Imaan likh diya aur jinke Ruhul Qudus se madad ki gayi hai.
(Kamaluddin, v2, p496)


32. WO MAQAMAAT JAHAA’N IMAM E ZAMANA (atfs) KE LIYE DUA KARNE KI TAAKID HAI UMNE HARAM E IMAM HUSAIN (as) BHI HAI

Imam Sadiq (as):
Phir rukhsaaro’n (cheeks) ko Qabr e Husain (as) par rakh kar kaho, “Allahumma Rabbal Husain Ishfi Sadral Husain, Allahumma Rabbal Husain Utlub Bi Damil Husain...”  (Aye Allah, Aye Rabbi Husain (as), Husain (as) ke qalb ko shifa ataa kar. Aye Allah, Aye Rabbi Husain (as), Husain (as) ke khoon ka badla le...)
(Poori Dua ke liye kitaab Kamiluz Ziaraat Urdu pg 336 aur English Translation pg 250 refer kare).
Ye Dua karne ki wajah saaf waazeh hai ke Imam e Zamana (atfs) hi khoon e Husain (as) ka inteqaam lenge aur unke dushmano’n aur qaatilo’n se inteqaam lekar Imam Husain (as) ke dil ko shifa inayat karenge.
(Mikyalul Makarim, v2, p94)


33. Imam Baqir (as):

Jo shakhs 15 Shaban ki raat ko H. Imam Husain (as) ki Ziyarat karega uske tamaam gunah maaf kar diye jayenge aur aainda saal tak uski kisi buraayi aur gunah ko nahi likha jayega. Aur agar wo aainda saal bhi Ziyarat karega to uske aainda tamaam gunah bhi maaf kar diye jayenge.
(Amaali - Shaikh Toosi, v1, p132)


34. Imam Sajjad (as):

Jo 124000 Ambiya (as) se musafeha karna chahta hai usay 15 Shaban ul Muazzam ko Imam Husain (as) ki Ziyarat karna chahiye..
(Al Muntazar 1423)


35. Riwayat:

Mahdi (atfs) wo hain jo Isa bin Maryam (as) ki Imamat karenge.
(Jamaal e Muntazar, p489)


36. Imam Mahdi (atfs):

Main Khaatemul Awsiya hoo’n. Mere hi zariye se Khuda balaao’n ko mere Ahel aur mere Shiyo’n se durr karega.
(Aqwaal 14 Masumeen (as), p247)


37. Imam Mahdi (atfs):

Main hi Mahdi hoo'n, main hi Qaim uz Zamaan hoo'n, main hi zameen ko is tarah adl o insaaf se bhar doonga jis tarah wo zulm o jaur se bhar chuki hogi. Zameen Hujjat e Khuda se khaali nahi rehti.
(Guftaar e Dil Nasheen, p255)


38. Imam Mahdi (atfs):

Jab bhi Khuda hum ko bolne ki ijaazat dega, Haq waazeh aur baatil nabood ho jayega.
(Guftaar e Dil Nasheen, p257)


39. Rasule Khuda (saww):

Baghair maa-baap ke yateem se bada yateem wo hai jo apne Imam e Zamana tak na pahu'ch sakey aur ahkaam e Deen (rules of religion) aur wazaaif e Ilaahi ke jaan'ne mein hairaan o pareshaan ho. (Hamari Ummat ke Ulema mein se) Jo unki hidayat aur taalim o tarbiyat kare, wo roz e Qayamat hamare saath mehshoor honge aur ek khaas buland darje ke maalik honge.
(Ehtejaaj e Tabrisi, v1, p15)


40. Imam Mahdi (atfs):

Lekin waqae hone waale hawaadis mein tum hamare Hadeeso'n ke raawiyo'n ki taraf rujoo karo, kyun ki wo log meri taraf se tumhare upar Hujjat hain aur main Allah ki taraf se unpar Hujjat hoo'n.
(Guftaar e Dil Nasheen, p249)


41. Imam Mahdi (atfs):

Main tumhare umoor e zindagi se ghaafil nahi hoo'n aur na tumhari yaad ko bhulaane wala hoo'n.
(Guftaar e Dil Nasheen, p257)


42. Imam Mahdi (atfs):

Hamara Ilm tumhari khabaro'n ke baare mein muheet hain, tumhaari koi khabar hum se chhupi nahi hai.
(Guftaar e Dil Nasheen, p261)


43. Rasule Khuda (saww) se poochha gaya ke Aap ke farzand Qaim (atfs) ka zahoor kab hoga?
Rasule Khuda (saww) ne farmaya,
Is ki misaal Qayamat ki si hai. Jis tarah se Qayamat ki ghadi ka ilm Allah ke paas hai isi tarah Qaim (atfs) ke zahoor ka ilm bhi Allah ke paas hai.
(Tafseer Noor us Saqlain, V 3, P 513)


44. Imam Sajjad (as):

Jo shakhs ghaibat e Imam (atfs) mein hamari Wilayat par Imaan rakh kar saabit qadam rahega, Allah Ta’ala usko Shohda e Badr o Ohad ke martabe ke 1000 Shohda ka sawaab ataa farmayega.
(Falsafa e Gaibat e Mahdi (atfs), p174)


45. Imam Sadiq (as):

Agar koi shakhs is haalat mein mare ke wo Imam e Zamana (atfs) ki aamad ka muntazir ho to uska martaba aisa hai jaise wo oos Imam ke saath unke khaime mein qayaam pazeer tha. Nahi, balke usne Rasulallah (saww) ke saath talwaar se Jihad kiya.
(Kamaluddin, v2, p346)


46. Imam Ali (as):

Hamare Saheb e Amr (atfs) ka intezaar karnewala aisa hai jaise koi shakhs Allah ki raah mein Jihaad kar ke apne khoon mein lott raha ho.
(Falsafa e Gaibat e Mahdi (atfs), p242)


47. Imam Sadiq (as):

Jo hamare Amr ka muntazir hai aur is raah mein aziyyat aur khauf ko bardaasht kar raha hai wo kal hamare zumre mein hoga.
(Aqwaal e Masoomeen (as), p137)


48. Riwayat:

Khuda ki qasam! Saheb ul Amr (atfs) har saal Hajj ke mauqe par tashreef laate hain. Wo logo'n ko dekhte hain aur pehchaante hain. Log bhi unhe dekhte hain magar pehchaante nahi hain.
(Kamaluddin, v2, p426)


49. Imam e Zamana (atfs):

Salaam oon garebaano'n par jo Imam Husain (as) ke gham mein chaak huwe ho.
(Aqwaal e Masoomeen (as), p121)


50. Imam Reza (as):

Saato'n aasmaan aur zameen Husain ibne Ali (as) ke qatl par royein aur aasmaan se 4000 Farishte unki nusrat ke liye naazil huwe jinhe jung ki ijaazat nahi mili. Chunaanche, Qaim e Aal e Muhammad (atfs) ke khurooj tak wo Farishte saro'n par khaak daale Qabr e Husain (as) par maujood rahenge aur jab aur jab Qaim e Aal e Muhammad (atfs) ka zahoor hoga to wo unke madad-gaar honge aur YA LESAARAATIL HUSAIN unka naara hoga.
(Uyoon Akhbaar ar Reza, v1, p521)


51. Imam Baqir (as):

Jung e Badr mein Rasule Akram (saww) ki madad ke liye 5000 Farishte naazil huwe the aur wo aasmaan par abhi tak nahi gaye aur jab Qaim e Aal e Muhammad (atfs) ka zahoor hoga to wo unki madad karenge.
(Tafseer Noor us Saqlain, v2, p178) 


52. Imam Baqir (as):

Jo Farishte Jung e Badr ke din bheje gaye the unke saro'n par amaame the. Wo na to aasmaan par waapas chhadhe aur na jayenge, jab tak Imam Mahdi (atfs) ki nusrat na kar le'n. In Farishto'n ki tadaad 5000 hai.
(Irshadaat e Masumeen (as), p59)


53. Imam Mahdi (atfs):

Raha zahoor ka masla, to wo izn e Khuda (Allah ki ijaazat) se mutalliq hai.
(Guftaar e Dil Nasheen, p261)


54. Rasule Khuda (saww):

Agar duniya ki umr se ek din bhi baaqi reh jayega to Allah oos din ko tulaani kar dega ke mere Ahlebait (as) mein se ek aise shakhs (Imam Mahdi (atfs)) ko mab'oos karega jo zameen ko adl o insaaf se aisa bhar dega jis tarah wo zulm o jaur se bhari hogi.
(Irshadaat e Masumeen (as), p20)


55. Imam Baqir (as)

se Abi Hamza Shumali ne sawaal kiya, "Farzand e Rasul, kya aap hazraat sab ke sab Qaim bil Haq nahi hai?" Aap ne farmaya,"Haa'n". Abi Hamza ne arz kiya, "Phir Imam Qaim (atfs) ko Qaim kyun kehte hain?" Imam (as) ne farmaya, "Jab hamare Imam Husain (as) shaheed kar diye gaye to Malaika ne Allah Ta'ala ki baargaah mein rote huwe faryaad ki 'Aye hamare Allah aur hamare Maalik, jisne Tere Muntakhab ibne Muntakhab bande ko qatl kar diya oos se kya Tu ghaafil hai?' To Allah ne unki taraf Wahi ki, ke 'Aye Mere Malaika, be-qaraar na ho; Mujhe Apni izzat o jalaal ki qasam hain, zaroor unse inteqaam loonga chaahe kuchh arsey baad hi kyun na loo'n'. Phir Allah Ta'ala ne Imam Husain (as) ki aulaad mein jitne Aimma (Imam) the unse Malaika ke liye Hijaab ko hataya aur unhe dekh kar Malaika be-had khush huwe aur unhi Aimma (as) mein se ek Imam khada huwa Namaz padh raha tha. Allah Ta'ala ne farmaya, 'Main isi Qaim (yaani KHADE HUWE) ke zariye oon qaatilo'n se inteqaam loonga'."
(Elal ush Sharaaye, p120)


56. Imam Sadiq (as)

se kisi shakhs ne kaha, "Allah aap ko jazaa e khair ataa farmaye. Kya H. Ali (as) Deen mein pukhta aur qawi (firm and strong) nahi the?" Aap (as) ne farmaya, "Haa'n, wo qawi the". Usne kaha, "Phir qaum kis tarah unpar ghaalib aa gayi aur unhone iska difaa (defend) nahi kiya aur na unko roka". To aap (as) ne farmaya, "Kitaab e Khuda mein ek Ayat hai jisne unko is baat se roka". Oos shakhs ne kaha, "Wo kaun si aayat hai?" Aap (as) ne farmaya, "'Lav Tazayyalu La'azzabnallazina Kafaru Minhum 'Azaaban Aleema'. Kyun ki Allah Azz Wa Jall ki Momin amaanatein Kaafiro'n aur Munafiqo'n ki sulbo'n (loins) mein maujood thi to Ali (as) ke liye ye mumkin nahi tha ke unke aaba (purvaj) ko qatl kare de'n ta waqt ye ke amaanatein paida ho jaayein aur jab amaanatein nikal aayi'n to Ali (as) unpe hamlawar huwe aur unse muqabila kiya. Isi tarah hamare Ahlebait (as) ke QAIM (atfs) KA OOS WAQT TAK ZAHOOR NA HOGA JAB TAK ALLAH KI AMAANATEIN PAIDA NA HO JAAYEIN PHIR WO APNE MUKHAALIFEEN PAR GALBA HAASIL KAR KE UNKO QATL KARENGE".
(Kamaluddin, v2, p608)


57. Imam Sadiq (as):

Qaim e Aal e Muhammad (atfs) oos waqt tak zaahir nahi honge jab tak ke aasmaan se ek nida denewala awaaz na dega jise mashriq aur maghrib mein rehne waale sab sunenge aur Bani Umayya ki gardanein jhuk jayengi aur wo aasmaan ki taraf se ek cheekh hogi jo Sahebul Asr Qaim e Aal e Muhammad (atfs) ka naam lekar pukaaregi. (Surah Shu'ra, Surah 26, Ayat 4 ki tafseer bayaan karte huwe)
(Irshadaat e Masumeen (as), p105)


58. Rasule Khuda (sawa):

MAHDI (atfs) zameen ko Adl wa insaaf se bhar dega jis tarah woh zulm wa jaur se bhar chuki hogee.
(Musnad Ahmed bin Hambhal, P 448)


59. Imam Baqir (as):

Jab Hazrat Qaem (atfs) zahoor karenge to logo'n mein maal itni baraabari aur insaaf ke saath taqseem hoga ke ek bhi shakhs Zakaat ka mohtaaj nahi hoga.
(40 Hadith - The Awaited Saviour of Humanity)


60. Imam Mehdi (afts):

Rooh-e-Zameen Baqitullh Main hoon, dushman-e-Khuda se inteqaam lenewala Main hoon.
(Al-Qatra v4/p448)


61. Imam Ali (as):

Sabse behtareen ibaadat hai Sabr, Khamoshi aur Imam e Mahdi (atfs) ki aamad (zahoor) ka intezaar karna.
(Islamic Morals)


62. Imam Ja’far Sadiq (as):

Yaqeenan, Saheb Amr (Imam Mahdi as) ka apna ek ghar hai jis ko "Al Hamd" kahte hain. Us mein ek Chirag roshan hain jab se woh paida hue aur jab tak wo talwar se qayam karenge tab tak jalta rahega aur kabhi nahi bujhega.
(Biharul Anwar, Volume 52, Page 158; al-Ghaybah of al-Nu’mani)


63. Imam Ali ibnil Husain al-Sajjad (as):

Yaqeenan, jo log zamana ghaibat mein rahenge, unki (Imam Mahdi) ki Imamat ke qael aur unke Zahoor ke Muntazir honge, har zamane se woh behtareen honge, jaisake Allah Ta'ala ne, ke Zikr mein hai, unko aql o shuoor o Ma'arefat se aisa nawaza hai jiske zariye wo ghaibat mein is tarah zindagi guzar saken jaise wo Zahoor ke waqt guzar rahe hon.
(Biharul Anwar, Volume 52, Page


64. Imam e Zamana (atfs) ko kis taraf Salaam karna

Ek Shakhs ne ek bar Imam Jafar Sadiq (as) se poochha ke woh kaise Imam Al Qaim (atfs) par apna Salam bhejen to Imam ne farmaya:
"Taqool: Asslamo alaika ya Baqiyatullah
(Kaho: Salamti ho aap par, aye Allah ke baqi manda.)"
”Say: Greetings be upon you, O’ Remnants of Allah"
(Dua-e-Nudba)
(Biharul Anwar, Vol 52, P-373, Tafsir Furat ibn Ibrahim)


65. Imam Reza (as):

Qaim (atfs) wo hoga ke jab wo zaahir hoga to umr uski shuyookh ki (very aged) hogi magar nazar jawaan aayega. Taaqat e jismaani aisi hogi ke wo chaahe to bade se bade darakhto’n ko haath se jadd samet ukhaad phenke aur pahaado’n ko hamwaar (level / sapaatt) kar de. Uske paas H. Musa (as) ka Asaa aur H. Sulaiman (as) ki angoothhi hogi. Wo meri aulaad mein chautha (4th) fard hoga. Allah uspar gaibat ka parda daal dega phir usay zaahir karega to wo zameen ko adl o insaaf se is tarah bhar dega jis tarah wo zulm o jaur se bhar chuki hogi.
(Falsafa e Gaibat e Mahdi (atfs), p193)


66. Imam Baqir (as):

Jab Imam Mahdi (atfs) zahoor farmayenge, to wo Khana e Kaaba ki deewar se apni peethh tek kar khade honge aur unke 313 as'haab unke ird-gird khade honge. Aur jo pehla lafz wo kahenge wo Quran ki ye Ayat hogi BAQIYATULLAHI KHAIRUL LAKUM IN KUNTUM MOMENEEN (Surah Hud, Ayat 86). Iske baad wo kahenge, 'Main Baqiyatallah hoo'n, Allah ka Wali aur Khalifa aur tumpar Uski Hujjat hoo'n". Aur iske baad jo koi unhe Salaam karega, wo in jumlo mein Salaam karega, AS SALAAMU ALAIKA YA BAQIYATALLAHI FI ARZEHI. (Noor ul Absaar - Syed Momin Shablanji (Shafa'ee Aalim))
(The Promised One in Quran, p13)
SHAB E 15 SHABAN KI FAZLIAT


67. Imam Baqir (as):

15 Shaban ki raat Lailatul Qadr ke baad sab raato'n se afzal raat hai. Is raat Allah Ta'ala Apne bando'n par Apna fazl farmata hai aur unpar ehsaan karte huwe unko bakshta hai. Tum log is raat Khuda ki nazdeeki haasil karne ki koshish karo kyun ki is raat Allah Ta'ala ne Apne upar laazim kiya hai ke jo is raat mein Mujh se sawaal karega, Main usay ataa karunga. Ye wo raat hain jisme Allah Ta'ala ne hum Ahlebait (as) ke liye wo kuchh qaraar diya hai jo kuchh Allah Ta'ala ne Lailatul Qadr mein Apne Nabi (saww) ke liye qaraar diya tha. Is raat tum Dua karne aur Uski Hamd o Sanaa karne ki koshish karo. Jo shakhs is raat mein 100 martaba Subhanallah aur 100 martaba Al Hamdu Lillah aur 100 martaba Allahu Akbar kahega to Allah Ta'ala uske tamaam guzishta (previous) gunaah maaf kar dega aur uski duniya aur Akherat ki hajaat poori farmayega jinka wo sawaal karega aur oon haajato'n ko bhi bar layega jin haajato'n ka wo Oos se sawaal nahi karega…
(Amaali - Shaikh Toosi, v2, p370)

No comments