Imam Zamana (a.s.) ki shaan me chand ashaar

Imam-e-Asr k hawaley se chand misrey :-
Khuda ka fazl, bashar par tamam baaqi hai
Naam Islaam ka, parcham, Imaam baaqi hai
Wo royenge jo muharram me khoob hastey hain
k shah ke (a) khoo(n) ka abhi Inteqaam baaqi hai 
Abhi to Zaalimo ka qatl-e-aam baaqi hai
Jaha Ali huwey paida, makaan baaqi hai
Imam-e-Asr karengey zuhoor kaabey me
Bidat k khaatmey ka ab bhi kaam baaqi hai  
Har ek nabi ka, Mohammad ka naam baaqi
shariyato ka zara ehteraam baaqi hai
chhupaya lakh garaqadr itrato ko magar
Abhi bhi bolta aakhir Quraan baaqi hai  
Namaz, Roza bhi baaqi Azaan baaqi hai
tufail-e-Panjetan, saara jahaan baaqi hai
Zuhoor hoga kab unka, jo merey haadi hai
is intezaar me hi subh-o-shaam baaqi hai  
Bhaagney waley Bhagoro ka naam baaqi hai
Ali hi sab ke hain maula kalaam baaqi hai
Ham intezaar me uskey hain Jissey duniya me
Khuda ka adl bharaa intezaam baaqi hai (Haider A. Rizvi)


“Har raat Ibn-e Haidar-o-Zehra (A.S) ki yaad ho,
Har din Zahoor-e-Wali-o-Aqa (A.S) ki aas ho;
Ik aur eid aa gai, Mola (A.S) nahin aaye,
Bus yeh khayal-e-dard-o-a’lam saath saath ho.”


“Mein ye nahin kehta ke mujhay piyar nahin hai,
Faryaad tumhari koi baikar nahin hai;
Sunta hun, tarhapta hun, par majboor hun mein bhi,
Aaney se agarchay mujhay inkaar nahin hai;
Mein aaj hi aajaun, mujhay aar nahin hai,
Lekin mera lashker abhi tayyar nahin hai.”

"Ye 14 hain tau ILAHI, nizaam zinda hai,
In hi kay naam say Khaaliq ka naam zinda hai;
Manna kay jashn batatay hain hum zamanay ko:
Hum hi wo loag hain jin ka Imam (A.S) zinda hai."

"Sehar qareeb, andheron ko door hona hai,
Zaleel dushman-e-Deen ko zaroor hona hai;
Bata rahi hain ye tabdeeliyan zamanay ki,
Kisi Wali (A.S) ka yaqeenan zahoor hona hai."
"Ay baagh-e-Askari (A.S) kay muqaddas tareen phool,
Ay ka'abaa-e-farogh-e-nazar, qiblaa-e-usool,
Aa, hum say kar khiraaj-e-dil-o-jaan kabhi wusool,
Teray baghair hum ko tau jannat nahin qabool;
Duniya, na maal-o-zarr, na wazaarat kay waastay,
Hum ji rahay hain teri ziaarat kay waastay."

"Muntazir hum hi nahin hain, muntazir hain Fatima (S.A),
Ab bhi Bait-ul-Huzn mein ro rahi hain Syeda (S.A);
Roknay Bibi (S.A) kay aansoo, aa bhi jaao jald, Imam (A.S),
Qatil-e-Mohsin (A.S) ko apnay haath say denay saza."

"Momin ki har sada ko tera intizar hai,
Eeman ki baqa ko tera intizar hai;
Phir rooh-e-inqilab ki haajat hai deen ko,
Aa ja kay La Illah ko tera intizar hai;
Sab ki yeh aarzu hai kay raah-e-Khuda milay,
Lekin Khuda ki raah ko tera intizar hai;
Parda hata kay dekh, meray daur kay Hussain (a.s),
Bay-chain Zulfiqar hai, bay-taab Murtaza (a.s),
Abbas-e-ba-wafa (a.s) ko tera intizar hai."

"Ali (a.s) kay Laal (a.j.f) say Haq ka nishaan baqi hai,
Imam (a.j.f) hain tau yeh sara jahan baqi hai;
Na apnay zor pay itna uchhal aye munkir,
Ali (a.s) kay ghar ka abhi ek Imam (a.j.f) baqi hai."

"Mujh say mera Imam (a.j.f) buhat door, door hai,
A'amaal hain buray meray, mera qusoor hai;
Taqwa nahin hai hum mein, haqeeqat hai doston,
Kesay milay wo hum say? Wo Allah ka noor hai!"

"Gar ho meri hayat meray ikhtiyar mein,
Sadiyan guzaar doon ga teray intizaar mein;
Maula (ajf) ab ap parda-e-ghebat uthayye,
Do (2) din tau zindagi kay guzaroon bahar mein."

"Sadiyan bhari hain yun tau meri aankh mein, magar,
Chubhta hai aik lamha bhi ab intizar ka;
Har baar chaand dekh kay maangi hai yeh dua,
Yeh maah akhri ho teray intizar ka."

No comments