Maula Ali (a.s.) ki Wilayat ke inkar par Azabe khuda ka aana
Jab Wilayate Maula Ali (a.s.) ki khabar aam ho gayee to munafiq No'man bin Harise Fehri ne paygambar akram (s.a.w.a.) ki khidmat me hazir ho kar arz kiya ke;
Aap (s.a.w.a.) ne humey hukm diya ke Khuda ki wahdaniyat aur aap ki risalat ki gawahi de, hum ne gawahi di, lekin aap is par bhi raazi na huwe yaha tak ke aap (s.a.w.a.) ne (Hazrat Ali a.s. ki taraf ishara kar ke kaha)is jawan ko apni janashini par mansoob kar diya aur kaha, Man Kunto Maulaho Fa haza Aliyun Maulaho. Kya ye kam apni taraf se kiya hai ya Khuda ki taraf se? Paygambare akram (s.a.w.a.)ne farmaya: os Khuda ki qasam jis ke alawa koi khuda nahi hai ye kam maine khuda ki taraf se anjaam diya hai. No'man bin Haris ne apna muh fer liya aur kaha; Khuda wand! Agar ye kam haq hai aur teri taraf se hai to tu muj par asmaan se patthar barsa!.
Achanak aasman se ek patthar aayaaur ous ke sar par lagajis se woh wahi halak ho gaya, ismauke par ayah' Sa-la saelun be azabin waqe' nazil huwi.
Allama Amini (a.r.) ne kitab Al Ghadeer me 30 ulomae Ahle sunnat se iss riwayat ko naql kiya hai.......

Post a Comment