Ayatullah Sadiq Husaini Shirazi Kaun Hai?
Ayatollah Sadiq Hussaini Shirazi ( سيد صادق الØسيني الشيرازي) Ka Janm 20.12.1360 H (Islamic calendar) 2 August 1942CE (Isawisan) ko huwa tha.
Aap Ayatullah Sayed Muhammed Shirazi ke bhai hai. Aapne Najaf aur Qom me apna Ilm hasil kiya hai, aur filhaal woh Qom aur Shiraz (Iran) ke Hauza e ilmiya me Dars dete hai. Aur aap Ayatollah Sayid Mohammad Taqi Modaressi. ke uncle hai.
Ayatollah Sadiq Hussaini Shirazi ne niche diye gaye oloma se Ilm Hasil Kiya hai:
- Aap ke Walid, grand Ayatollah Sayid Mirza Mahdi al Shirazi.
- Aap ke bade bhai, the Grand Ayatollah Imam Mohammad Shirazi
- The Grand Ayatollah Sayid Mohammad Hadi Milaani
- The Grand Ayatollah Shaikh Mohammad Retha Isfahaani
- Ayatollah Shaikh Mohammad Shahroudi
- Ayatollah Shaikh Mohammad Kalbaasi
- Ayatollah Shaikh Ja’far Rashti
- Ayatollah Shaikh Mohammad Hussain Mazandaraani
- Ayatollah Shaikh Abdulrahim Qumi
Aap ne niche di gayee kitabe Hauzae ilmiya aur Toloba ke kiye likhi hai:
- Sharh al Roudhah fi Sharh al Lum’ah
- Sharh al Shara’i
- Sharh al Tabsirah
- Sharh al Suyooti
- Sharh al Samadiyah
- Sharh al Awaamil
- Mujaz fi al Mantiq aur digar bahot sari Kitaabe.
Ayatollah Sadiq Hussaini Shirazi ko Marja' Ayatullah Moahmmad Shirazi ne Ijtehad ki sanad di hai.
Aap Abhi bhi Iran ke Shahar Qum me rahte hai aur wahi aapka Hauza bhi hai. Aap ki Taqleed Iran, Iraq, India, Kuwait, Bharain aur digar jagh par log kar rahe hai.
Mazeed Ma'loomat ke liye aap ki website khole- http://www.english.shirazi.ir/
Post a Comment