Daur-e-Hazir ke Fitno ko kaise pahchane?
Bismillahir rahmanir rahim,
Aaj iss nazuk daur me Aqide par alag alag tarah se war ho raha hai aur bahot sari baate bina koi hawale se kahi ja rahi hai, aisa bhi dikh raha hai ki mimbar se bhi bahot si aisee baate bhi kahi jaati hai jiska QURAN aur HADEES se koi lena dena nahi hai.
Tab hum kaise kisi ki baat par 100% yaqeen kare?
Iske liye sab se aham tareen cheez ye hai ki jo bhi cheez aapko kahi par bhi mil rahi ho chahe wo image ho ya kisi aalim ki video clips ho to pahle ye dekhna chahiye ki kya wo Masoomeen (a.s.) ke hawale se baat bayan kar raha hai ya kisi aur ki baat aap par thop raha hai!
Khususan agar niche di gayee baate agar koi bol raha ho to fauran Alert ho jaiye. Shayad wo aapko Ahlebait (a.s.) se dur kar raha ho!
- Bina koi hawale ke, khud ki manghadat kahaniya suna raha ho
- Masoomeen (a.s.) se Tawassul ka inkaar kar raha ho.
- Shafaat ke Ta'lluk se doubt paida kar raha ho.
- Hadees E Kisa, Dua E Nudaba aur Zyarate Ashura padhnese rok raha ho.
- Dua E Sanamay Quraish padhne se aur Dushmanane Ahlebait pe La'nat karnese roke.
- Imam Zamana (a.s.) ke zahoor ki Dua karnese roke.
- Imam (a.s.) se Mulakaat ke waqeaat ko juth kahe.
- Ahaadese Masoomeen ke khilaaf bole.
- Aimmah (a.s.) ke alawa kisi aur ko Ulil Amr ya Wali E Amr bole.
- Agar koi Maraje' kiram ke kisi masa'le me chup hone par tanz kar raha ho.
- Furu'e Deen me Taqleed ke khilaaf baat kar raha ho.
- Gairo' se Ittehad ke liye apne aqaed chhodne ya fir ko bina kisi wujaat ke chhupane ki baat kar raha ho!
- Hadeese Masoomeen ke bare me aisa bol raha ho ki ye to unhone apne daur ke liye unhone kaha tha. Abhi hum 21st century me jee rahe hai, isliye abhi ke liye hume ye nahi manna chahiye.
- Azadari ke rusumaat jaise ki Matam, Girya, Taboot, Alam etc.. ke khilaaf bol raha ho!
- Imam Ali (a.s) ko ek behtareen banda-e Khuda ke bajaye, 'Ma'bood' bata raha ho!
Allah (t.w.t) Jald az jald Humare zamane ke Imam aur Hujjate Khuda, Wali-Asr Imam Mahdi (a.t.f.s.) ke zuhoor me jaldi kare aur inn sab fitno ko mita de! Ilahi aameen
Post a Comment