Namaze Wahshat Kab Parhi Jaye?
Question: mera sawal hai k namaz e wahshat o qabar kya sirf pehli raat jab murday ko dafan kiya jata hai tou parhi jasakti jai ya phir apny pyaron k liye un k inteqal k baad kabhi bhi parhi jasakti hai pehli raat k ilawa bhi
Answer: Namaaz wahshat qabar ki phele raat har waqt perhe jasakte hai laikin behter ye hai k phele raat namaaz isha k baad perhe jaay .agar maiyat ko kise door k city le jana ho ya kise aur waja se is k dafan me daair ho jaay to namaaz wahshat me bhi qabar ki phele raat tak dair ki jaay. (Ref: Ayatullah khumeni Tauzeehul masail 31st edition, maslah #,639,640 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Post a Comment