Kya kaza namaz padh lene ke baad bhi aadmi par gunah rahta hai ya nahi?
Question: Kya kaza namaz padh lene ke baad bhi aadmi par gunah hota he ya nahi?
Answer: Hazrat Imaam Muhammad Baqir (a.s) se marvi riwayat ke mutabiq gunaah ka iqraar aadmi per se gunaah ke booj ko hata deta hai. Imaam Jafar o Sadiq (a.s) ne farmaaya, jis ka mafhoom ye hai ke ager banda apne gunah ka is terhan iqraar kar le ke is ne apne Khaliq Allah Taala ke diye gaae hokum ki nafarmaani ki hai, or is nafarmani ki waja se is ko esei pashemani ho jis ki waja se wo dubara gunah na kar sake to ALLAH TAALA bhi is ko muaaf kar ke is ki toba qabool kar leta hai.(Ref : usool e kafi , jild # , kitaab e emaan o kuffur , baab # 188 , riwayat # 2 , 4 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae)
Post a Comment