Imam Zamana (a) ke liye dua karna kaisa hai?

Question: kay hamrae dua sa imam zamana a.s a jaya ga ?hadez sa sabit kara

Answer: Imaam Zamana(a.s) ke liye dua karna haqiqat main apne liye dua karna hai, jesa ke Ap (a.s) ne ik toqee k aakhir main farmaaya tajeel e faraj k liye dua karo, Q k tumari faraj o kushaaish is hi main hai or isi terah dua alamat hai k ham Imaam Zamana ka kuloos k sath intazaar kar rahe hain, or intizaar ke bare main Abo Abdullah Jaffer Ibn e Muhammad a.s farmate hain, k jo shaks tum main se mar jaae or is amar (imam zamana a.s ke zuhoor ka) ka muntazir ho to wo us shaks ki terhan hai jo Hazrat Al-Qaim a.s ke kheme main mojood hai.(Ref : aahsan ul maqaal , jild # 2 , baab # 14 , fasal # 6 , pg # 414 , 415).