Ismaeli aur Zaidi shia kaun hai?

Question: who are ismailiya and zaid in shia and whose followers r they

Answer: bismehi taala, Imam Jaafare Sadiq (a.s.) ke baad Hazrate Ismail (k jin ki wafat Imam Sadiq (a.s.) ki zindgi me hi ho gai thi) ko Imam manne wale Ismaili he aur Imam Zainul Abedeen (a.s.) ke baad Hazrate Zaid shaheed ko imam manne wala firqa Zaidiya khelata he, yeh dono firqe is eatebar se shia he k Rasulullah (s.a.a.w.) k baad Moula Ali (a.s.) ko bila fasl Khalifa mante hain, albatta yeh log bich me bhatak gaye aur shia isna asheri nahin hain.