Kya Ahle Sunnat Pesh Imam Ke Pichhe Jamaat hogi?

Question: as salam o alaikum. kya sunni fiqah ke pesh-imaam ke peeche namaaz e jamaat parhi ja sakti hai? is soorat mein niyyat kya hogi? aur juma ki namaaz ki jamaat ke baare mein kya hukm hai, aur niyyat kya hogi?

Answer: A.Sistani kay nazdeek Jamat namaz sunni ki imamat main parhna jaiz hay laikin aap ko qaraat khud karni hogee agarchay aahista aawaz main hi kion na karay (niyyat jamat ki hogee tareeqa furada wala hoga yani qaraat aur zikr khud parhna hoga)
..Juma parhna bhi jaiz hay laikin ye juma kaafi nahi hoga juma kay baad zohar ki namaz bhi parhna hogee.

Ref:Istiftaat I-40.