Kya Nauha Ke Andar Desh Bhakti Ke Alfaz Ya Kisi Aur Ka Naam Lena Sahi Hai?

Video & Text

Pahla Jawab- Maulana Ehsan haider Jawadi Sahab (Mumbai)




Dusra Jawab- Maulana Sayed Shaji Mukhtar Sahab (Hyderabad)

Sab Se pehle is tarah k taranon naghmon ka aaghaaz Iran se huwa us k bad Pakistan aur ab Hindustan me is ki shurvaat hai.

Hubbul watani juz e imaan hai.

Lehaza watan SE mohabat farz qarar pati hai Aur yeh fitri Shai b hai ..

Hum ko jis tarah  Apne uper ek Shia hone per fakhr hai aise hi Hindustani hone per hai kyon k isi Hindustan aane ki aarzo moula Husain a.s ne ki thi.

Lekin nouha me sirf wo baaten bayan honi chahiye Jo nouha ko uski sinf se kharij na kare

Uper Jo padha Gaya ya is tarah chahe Iran o Pakistan ho ya India yeh Sab taraneh naghmeh to ho sakte Hain nouha Nahi

Kyon k nouha nooh SE bana hai naaha iska madrak hai

Yani wo kalaam ( ashaar ) jis k zariye roya ya rolaya Jaye

Misaal:

Hamare pass ek ziyarat hai

Jisy ziyarat e naahiya kehte Hain

Yani rulane wali ziyarat...