Shia Imam Bargah kyu banate hai?

Shia Imam Bargah kyu banate hai?

Jawab,
Tarikh me tableege deen ke kamo' ka markaz hamesha masjid hi rahi hai. Masjid ka ek khas ehteram hai aur aksar fuqaha ke nazdeek masjid me kafiro ka dakhla mamnoo' hai.

India me kyu ke hindu aur musalman sath rehte hai aur kafir ka masjid me dakhila haram hone ki wajah se agar majalis masjid me munaqid hoti to kafiro aur gair mo'taqdeen tak paigan kaise pohchata jaata? Imam Husain (a.s.) ki qurbani ne saari insaniyat ko bachaya hai. Lehaza tamaam insano tak paigame Imam Husain (a) pohchane k liye masji ke sath imambargah banane ki riwayat ka agaaz huwa taake har maqtabe fiqr se ta'lluk rakhne wale iss se istefada kar sake.

Aur dusri wajah ye ke khawateen najasat k ayyam me masjid nahi ja sakti.Is wajah se bhi masjid ke saath imambargah bananeni riwayat daali gayee.