Taqleed kyo hai?

Answer:  Imam Mehdi a.s. farmatay hein: “Gaibat e kubra k zamanay mai pesh aanay walay halaat k silsilay mein hammari hadisoo ko bayan karnay walay ravioun ki taraf roju karoo q k wo humari taraf sai tum par hujjat hein jis terah hum ALLAh ki taraf sai tum par hujjat hein.” 

Imam k is farman k pesh e nazar un tamaam logo par jo darja e ijtehad par faiz nhi hain, apnay zamanay k mujtahid ki taqleed krna wajib hai q k is k bagair in ki abadat aur aisay tamaam aamaal jin mai taqleed zaroori hai batil ho jatay hain.