Ya Ali Madad kahna kaisa hai?


Question: ya ali madad kahna shirk hai?

Answer: bismehi taala ya ali madad khena Jaiz hay.( Ref:Istiftaat S-19) is ka tafsili jawab aytullah khui (rizwanullah alahe) ne al-bayan fi tafsiril quran (pub. by jamia talimate islami, karachi) me isi ayat ki tafsil me tafsil se diya hain, mukhtasaran yeh ke ya Ali (a.s.) madad ham is liye kahate hain ke khud khuda ne hi in ki itaat farz ki hain, goya in se madad manghna khuda se madad mangna hain or in ki itaat khuda ki itaat hain